July 7, 2011

Posted by We The Pakistanis 0 Comments Category:

Islam Or Democracy


Kuch logo ko aisa lagne laga hai k shayad Islam ne democracy ko follow kia hai ya shayad Islam ne democracy ko support kia hai..
Haqiqatan aisa bilkul ni hai.. Islam ne kabhi bhi support ni kia democracy ko..
kyokay democracy har shakhs ko power deta hai yani sovereignty dedeta hai jab kay Islam kehta hai k sovereignty srf Allah Taalah k liye hai.

Hazrat Abu Bakar Siddique RA ko voting k zarye yaani democracy karke ni muntakhib kia gya tha balkay kuch logo ne hi unko khalifah banaya tha jinme Hazrat Umar RA bhi thay

Hazrat Umar RA ko bhi khud Hazrat AbuBakar Siddique RA ne hi muntakhib kia tha nakay awam se puch ke democracy ki

In do Caliph ki misaal se sabit hota hai k Islam ne kabhi democracy nahi chahi aur in dono mein bara farq bhi hai

Allama Iqbal tak kehtay hain ke

"Jamhuriat Jissay Tum Azaadi Ki Neelum Pari Samajhti Ho Yeh Asal Mein Musalmano Ko Gina Karta Hai Tola Ni Karta"

Tou jab hamaray Caliph democratic ni thay to hum kaisay democracy ko support krskte hai



=======================================================
Join Our Fan Page = www.facebook.com/wethepakistanis
Visit Our Website = www.wethepak.com =======================================================

0 comments: